The rest of the year she may be buzzing to all corners of the globe, but on her abba, Kaifi Azmi’s death anniversary on January 14, Shabana Azmi was at his residence, Janki Kutir, welcoming a few close friends, Poonam Dhillon and Waheeda Rehman were among the guests, for an evening of poetry. To commemorate the occasion, his son-in-law Javed Akhtar had penned a poem as a tribute. Read on…

Ajeeb Aadmi Tha Woh

Ajeeb aadmi tha woh Mohabbaton ka geet tha Baghavaton ka raag tha Kabhi woh sirf phool tha Kabhi woh sirf aag tha

Ajeeb aadmi tha woh…

Woh muflison sey kehta tha ke din badal bhi sakte hain Woh jaabiron sey kehta tha tumhare sar pe sone ke jo Taj hain kabhi pighal bhi sakte hain

Woh bandishon se kehta tha main tumko tod sakta hoon

Hawaaon se woh kehta tha main tumko mod sakta hoon

Sahoolaton se kehta tha main tumko chhod sakta hoon

Woh khwab se yeh kehta tha ke tujhko sach karunga main

Woh aarzoo se kehta tha main tera humsafar hoon tere saath hi chaloonga main

Tu chahe jitni duur bhi bana le apni manzilein kabhi nahi thakoonga main Woh zindagi se kehta tha ke tujhko main sajaoonga Tu mujhse chand maang ley main chand leke aaoonga Woh aadmi se kehta tha ke aadmi se pyar kar Ujad rahi hai yeh zameen Kuch iska ka ab singar kar

Ajeeb aadmi tha woh

Woh zindagi ke saare dukh tamam gham har ik sitam se kehta tha main tumse jeet jaaoonga Ki tumko tto mita hi dega ek roz aadmi Bhula hi dega ye jahan Meri alag hain dastaan Woh ankhein jinmein khwab hain Wo baazu jin mein hai sakat Woh hont jin pe lafz hain Rahoonga unke darmiyaan ke jab beet jaaoonga

Ajeeb aadmi tha woh….

Source- Mumbai Mirror